Zindagi Shayari in Hindi | Zindagi Sad Shayari | Life Zindagi Shayari
Kitabon ki khobi yeh hai keh woh na qabil e yaqeen kahaniyan
Iss waqt sunati hain jab sunne ko dil chahta hai,
Insano ka muamla ajeeb hai woh baz auqat aisi
Baatein karte hain keh guftgu jari rakhna mushkil ho jata hai.
Kehte hain waqt se pehle aur qismat ke bina kisi ko kuch nahi milta,
Afsoos unke pas waqt nahi aur humare pas qismat nahi.
Darakht apne phal khud nahi khate,
Dariya apna pani khud nahi peete pata hai kiyun,
Kiyun keh dosron ke liye jeena hi asal zindagi hai.
Zindagi Quotes | Zindagi Sad Shayari
Mohabbat Ka izhar tab karo jab use nibha sako,
baad mein majbouri ka sahara lay kar kisi ko,
chod dena wafadari nahi hoti.
Subah magroor ko woh sham bhi kar deta hai,
Shuratein cheen keh gumnam bhi kar deta hai,
Waqt se aankh milane ki himaqat na karo,
Waqt insan ko nelaam bhi kar deta hai.
Akelepan Zindagi Dard Bhari Shayari
Phool ban kar muskurana zindagi,
Muskura keh ghum bhulana zindagi,
Jeet kar koi khush ho toh kya hua,
Haar kar khushiyan manana bhi zindagi.
Aye zindagi bata tu meri kya lagti hai,
Kabhi mujhse razi toh kabhi khafa lagti hai,
Itna dard diya hai tu ne mere seene mein,
Saans leta hoon toh zakhamo ko hawa lagti hai.
Kiya zaroori hai keh har baat ki tasdeeq bhi ho,
Woh jo nazdeeq nazar ata hai nazdeeq bhi ho,
Tum agar sahib e raye ho to lazim to nahi,
Tum jissey thek samajhte ho woh thek bhi ho.
Maine logon ko parkha hai chahtein luta kar ke,
Waqt ko tabah kar ke saare haq ada kar ke,
Dard mein musibat mein hosle eta kar ke,
Iss tamam khoshish mein apni zaat ko fana kar ke,
Aur phir yeh jana hai log khosh nahi hote.
Zindagi mein chod jane walon ko apni zindagi mein,
Doubara wapis lane ke liye kabhi mat jhukein,
Apne raaste par khamoshi ke sath safar jari rakhein,
Aapko jo chod gaye hain in se behtreen log milen gay.
Toot jaye khuwab toh koi aas kya rakhna,
Palkon ke bheegne ka hisab kya rakhna,
Bas iss liye muskura dete hain hum,
Apne dukh se kisi ko udas kya rakhna.
Zindagi choti nahi hoti,
Hum jeena hi der se shuru karte hain,
Jab tak raaste samajh mein aate hain,
Tab tak lautne ka waqt ho jata hai.
Jab koi tumhare shiddat junoon o jazbat ko samajhne se
Qasir ho aur use tumhare hone ya na hone ka
Ehsaas na ho toh bina kisi shikwe shikayat ke
Khamoshi ikhtiar karo yahi isi ki saza hai.
Insan ko bolna sekhne mein do saal lagte hain,
Laiken konsa lafz kahan bolna hai,
Yeh sekhne mein puri zindagi guzar jati hai.
Aye gardish e ayam humein ranj bahot hain,
Kuch khuwab aise they jo bikharne ke nahi they,
Dukh yeh hai ke mere yousif o yaqoob ke khaliq,
Woh log bhi bichade hain jo bichadne ke nahi they.